Friday, January 19, 2018

Kahaani

Uske Aankhon Ka Rang Gehra Tha, Kaale Badalon Jaisa

Kaala Nahi, Dhoosar. Wo Rang Jisme Raat Ki Siyahi Din Ke Sufiya Ujale Se Milti Ho

Uske Honth? Nazuk Se Thhe Shayad, Par Han Baarik Lakirein Hoti Thinn Unmein

Aur Bilkul Sada, Kehti Thi Taj Mahal Mein Rang Na Dalo

Shayad Kisi Ghazal Ke Mukhde Se Churaya Ho

Khil Khila Kar Hansti Thi, Ji Kholkar, Jaise Koi Pahadi Nadi Be Rok Tok Behti Hai

Gaati Bhi Thi. Subah Hotey He Taanpure Ki Meethi Jhankar Ki Oat Se Jhankti Thi Uski Rui Jaisi Narm Awaz

Soti Thi To Ache Burey Sapne Uske Chehre Pe Jhalakte Thhe, Kabhi Shikan, Kabhi Bhini Muskaan

Aur Han, Usko Kisse Kahaniyon Ka Badaa Shaukh Tha, Itna Ke Khud Bhi Kisse Bunti Thi

Uske Kisse Uski Baalon Ki Tarah Ghungrale Aur Uljhe Hote The, Na Samajh Aaye To Hans Padti Thi

Kehti Thi Main Bhi Ek Kissa Hoon, Padhte Raho Jab Neend Aa Jaye Toh So Jaana

Ek Roz  Padhte Padhte Youn Hin Aankh Lag Gayi, Uthkar Dekha Toh Aakhri Panna Tha, So Palat Diya

Thursday, August 18, 2011

Khaali shaam

Maazi ka koi lamha toota aur chhamm se gira; Musafir ki rat-jagi aankhon mein fir koi purana khwaab utar aya; Gili aankhon mein pyas chubhti rahi, khwaab aatey rahey aur aakhir fir ujaala de gaye; Thaki aankhon se yaadon ka bojh na uthaya gaya; Ek din aur chadha, ek shaam fir baaki hai...

Thursday, May 19, 2011

Boond

Raakh mein dabi chingari ki tarah bhadak uthti hai kabhi
Kabhi shabnam ki boondon ki tarah tapak jaat hi
Ye teri yaadon ka karvaan hai jo aankho se behti hai aur dil mein utar jaati hai

Wednesday, July 7, 2010

Aahat

Bechaini ka alam na poochiye

Fiza mein koi pehchani si khushboo hai

Hawaein jaise koi raaz chupa rahi hain

Kaaley badal kisi toofan ka ishara karte hain

Apni kokh mein jaise koi kahar lapete hain

Toota lamha koi fir se jod gaya hai

Maazi ke raah mein jaise koi roshni dikhai di hai

Saturday, May 29, 2010

Sawal

Us ajnabi sheher mein usi anjaan dariya ke kinare ab wo khadi thi

Kya dariya ne usey pehchana hoga, kya wo bhi muskurayi hogi paani mein apni tasveer dekhkar?

Kya dariya ne ussey bhi poocha hoga ke ye kiski yaadein hain jo muskan bankar meri lehron pe tair rahi hain?

Kya uski aankhon mein bhi saagar umad aya hoga?

Kya usney bhi mera naam liya hoga?

Friday, April 16, 2010

Ya ye kahun?

Ab kuch kehne ko na raha
Chand labz machalte hain zehen mein
Par koi ashaar nahi banta
Baasi yadein bhi ab kachot ti nahin
Aur khwabon ne to kabka dum tod diya
Muskurane ki koshish mein saansein ukhadti hain ab
Aur log ye samajhte hain ke ghayal he sahi abhi to zinda hai
Maut bhi bhala kyon kar aaye
Marey hue ko maarne mein kya maza hai?

Ye kahun?

Ab kuch kehne ko na raha
Chand labz machalte hain zehen mein
Par koi ashaar nahi banta
Baasi yadein bhi ab kachot ti nahin
Aur khwabon ne to kabka dum tod diya
Baaki hai to bas ek dhundli si tasveer
Jo aankhon mein ab bhi nami de jati hai
Beraham waqt ki lakiren khinch rahi hain us par bhi
Ab har roz is khauf mein jeeta hoon
Ke ye jeene ka samaan bhi na chinn jaye kahin

Sunday, February 28, 2010

Diwano ka sheher

Ye diwano ko sheher hai
Yahan ba wafa bikhre khwabon ki khaak chhantey hain aur bewafa pyar bant tey hain
Samhal ke chalna yahan, kisi badnaseeb ke tutey dil ke tukde chubh sakte hain paon mein,
Zehreeley nishan chhod jaatey hain, jin par aansuon ke marham bhi kaam nahin aatey...

Thursday, February 11, 2010

Bazaar

Kal ho aaye fir usi bazaar se jahan khwabon ki boli lagti hai,
Is baar tamashaiyon ke bheed mein maine jagah li,
Kuch anjaan chehre, kuch sune sunaye bhi, apni apni jholi tatol rahey the,
Aankhon mein dard ki siyahi liye apney khwabon ka sauda kar rahey the,
Aadha pauna jo bhi mol mila unhey bik jaane diya,
Unke chehron par aansuon ki gehri lakiren un khwabon ka sahi mol batati thin,
Mere chehre ki lakiren ab jaati rahin, ek arsa hua mere khwabon ki boli lagey hue…

Friday, February 5, 2010

Bojh

Chand yaadon aur kuch tutey khwabon ka pulinda baandhey musafir chalta raha
Waqt beeta, mausam badley, raah mein kai padao aye
Chaltey chaltey ek roz jaane kab kaandhe par padi gathri ki gaanth dhili pad gayi
Kuch haseen lamhe kuch besh keemti yadein chupke se gir padi rah par
Musafir ko jab ehsas hua apne kismet ko roya
Mudh ke dekha to bahot door nikal aya tha
Mayus chal pada fir apni bemanzil rah par
Yaadon ki bojh ab halki thi aur dil bhari...

Tuesday, December 29, 2009

Khata

Khata humari thi
sitaron ke aagey jahan aur bhi thi

Humeen ne kadmon ko badhne ki ijazat na di
khoye rahey yaadon ki dhund mein,
waqt ke dhalney ki parwah na ki

Acha kiya bura kiya,
muhabbat ki gunaah kiya

Pachtawa nahi hai fir bhi
jo kiya acha kiya

Sunday, December 20, 2009

Bahaar

Mili baharon ki wo masti ke khizan ki aahat jaan na paye
jab paat piley padey to patjhad ke aaney ka ehsas hua

Humey fir bhi ye ummeed thi ke bahaar laut aayegi
par logon se suna ke wo kal shab aakar laut gayi

Mere baagh ke ujadney ka magar
kehtey hain usey koi afsos na tha

Monday, December 14, 2009

Tabeer

Khwabon ko sajane mein ek umra guzaar di humne
jab tabeer ki ghadi aayi to zindagi ne munh fer li

Na thi nigah mein manzil to kismat ko kosa kiye
Jab manzil mili to besud kisi aur raah ho liye

Ab khwabon he mein jee lete hain do ghadi
Subah jaane zindagi kis rang mein aaye...

Friday, December 11, 2009

Muskaan

Bebas nigahon se maazi ko dekhta hoon
haath badhakar chuney ki chaah hoti hai

Par waqt ki diwar sakht hai
aaj aur kal mein sadiyon ka faasla hai

Jin khwabon ko pyar se seencha kiye the kabhi
wo aaj tootkar bikhrey padey hain raahon par

Duniya ke liye wo bemol hain
raundtey hain pairon taley unko

Mere khwab fir bhi muskuratey hain
apna dard muskaan se chupatey hain

Tuesday, December 8, 2009

Uljhan

Bhagtey firtey hain ab un raahon sey jinhey hum chhod aaye
chaanv mili thi jahan do pal ko wahan ab kaun jaaye?

Yaadon ki ubalti dhoop mein paaon jaltey hain
tanhai ke sehra mein kaash koi chaanv mil jaaye

Na ummeed to nahin hain hum par ummeed karkey bhi
koi kya paaye?

Zindagi meelon chalegi abhi sirf dil ka tootna kaafi nahi
laazmi hai ke saans bhi toot jaaye

Saturday, November 21, 2009

Jaam

Hairaan hotey hain, dost mere badey pareshan hotey hain, kyon ye talkh jaam hum shouk se peetey hain, baat ye humse bar bar poochte hain,kya batayein unhe hum ke wo jo bhi kehte hain shayad bhali kehte hain;dil ko aadat si ho gayi hai ab to fir bhi har kadvi ghoont mein kuch meethi yaadein gholkar pi letey hain,na pooch humse abhi khuda jaane hum ye jaam kyon bar bar peetey hain...

Wednesday, October 28, 2009

Ek mazey ki baat

Duniya hansti hai mujhpar, keh kahey main bhi lagata hoon apne he aks par jo bezaar sa nazar aata hai aaine mein, iske chehre ki mayusi meri sachchai bayaan karti hai ya mere keh kahon mein chupi mayusi issey nazar aati hai, duniya mere hansne par hansti hai ya uski mayusi par tahakey lagati hai?
Mere rehbar haathon ke isharey se aane waley kal ki raah batatey hain aur meri nigahen beeetey kal ko tatolti hain, wo fir hans padtey hain meri bebasi par aur main bhi hans leta hoon apni zindagi par jisey kismat ne ek lateefa bana diya hai...

Monday, October 26, 2009

Sarmaya

Mere janazey par zarur aaiyega, sabse mehnge waaley phool laaiyega, phool mujhe bahot pasand hai, aur aapko apna ghuroor, dono ka mail karaiyega, mere janazey par zarur aaiyega;
Mere chahne waley channd chehrey honge, mujhpar laanat bhejne waley bhi kum na honge, par us muhabbat aur zalalat ki bheed mein meri nigahen aapko dhundengi, mere janazey ko aapka intezar rahega;
Meri nakaam zindagi ke maalik mere maut ke jalsey mein zarur aaiyega, apni pasand ke phool saath laaiyega;
Par jab ye din dhal jayega aur phool murjha jayenge, mujhe yakin hai ke aap fir aayengi, aur iss bar phool nahi mere mazaar par shabnam ki do boondein chhod jaayengi, meri adhuri zindagi ka yahi sarmaya hoga...

Monday, October 19, 2009

Tinka

Bechain hawaon ne mudh jaane ko kaha, shukr hai humne unki baat maan li; munh jo modha tha haqiqat se to ghataon ne ye sila di, ke jhoomte the jin boondon ke fuhar taley unhi boondon ne zindagi mein sailaab di; beh raha hoon ab ek tinkey ke maanind, jaane kab ye dariya kinaar de...

Tuesday, October 6, 2009

Hisab

Unse keh do ke hum ab bhi ghumon ka hisab rakhte hain, ginte hain unglion par sitam unke aur pyar ke lamhon ko hasrat ke tarazu mein taultey hain; pyar ab bhi bhaari hai, sitam unke jitney bhi aaye behad kum aaye; sawal ye na ho ke wo laut aaye ya na aaye, sawaal ye ho ke mohabbat mein darar kyon aaye; poshida hai unki yaadon se zindagi meri wo aayen idhar ya ke na aayen…