Wednesday, October 28, 2009

Ek mazey ki baat

Duniya hansti hai mujhpar, keh kahey main bhi lagata hoon apne he aks par jo bezaar sa nazar aata hai aaine mein, iske chehre ki mayusi meri sachchai bayaan karti hai ya mere keh kahon mein chupi mayusi issey nazar aati hai, duniya mere hansne par hansti hai ya uski mayusi par tahakey lagati hai?
Mere rehbar haathon ke isharey se aane waley kal ki raah batatey hain aur meri nigahen beeetey kal ko tatolti hain, wo fir hans padtey hain meri bebasi par aur main bhi hans leta hoon apni zindagi par jisey kismat ne ek lateefa bana diya hai...

Monday, October 26, 2009

Sarmaya

Mere janazey par zarur aaiyega, sabse mehnge waaley phool laaiyega, phool mujhe bahot pasand hai, aur aapko apna ghuroor, dono ka mail karaiyega, mere janazey par zarur aaiyega;
Mere chahne waley channd chehrey honge, mujhpar laanat bhejne waley bhi kum na honge, par us muhabbat aur zalalat ki bheed mein meri nigahen aapko dhundengi, mere janazey ko aapka intezar rahega;
Meri nakaam zindagi ke maalik mere maut ke jalsey mein zarur aaiyega, apni pasand ke phool saath laaiyega;
Par jab ye din dhal jayega aur phool murjha jayenge, mujhe yakin hai ke aap fir aayengi, aur iss bar phool nahi mere mazaar par shabnam ki do boondein chhod jaayengi, meri adhuri zindagi ka yahi sarmaya hoga...

Monday, October 19, 2009

Tinka

Bechain hawaon ne mudh jaane ko kaha, shukr hai humne unki baat maan li; munh jo modha tha haqiqat se to ghataon ne ye sila di, ke jhoomte the jin boondon ke fuhar taley unhi boondon ne zindagi mein sailaab di; beh raha hoon ab ek tinkey ke maanind, jaane kab ye dariya kinaar de...

Tuesday, October 6, 2009

Hisab

Unse keh do ke hum ab bhi ghumon ka hisab rakhte hain, ginte hain unglion par sitam unke aur pyar ke lamhon ko hasrat ke tarazu mein taultey hain; pyar ab bhi bhaari hai, sitam unke jitney bhi aaye behad kum aaye; sawal ye na ho ke wo laut aaye ya na aaye, sawaal ye ho ke mohabbat mein darar kyon aaye; poshida hai unki yaadon se zindagi meri wo aayen idhar ya ke na aayen…

Katra

Maazi ke jharokhe se ab tasviren kum dikhti hain, sailaab tham gaya hai, yaadein ruk ruk kar katron mein aati hain, fir boond ban kar ek roz aakhri katra bhi aankhon se tapak jayega; yaadon ke sukhe dariya ki tapti mitti par paon rakhna mushkil hoga, sirf aankhon ki nami se ismein firse sailaab lana mushkil hoga...