Saturday, April 25, 2009

Mutthi bhar khwab

SABR
Dil ko sabr mein aane dijiye, tamanna betab hai usse karar paane dijiye, mehfil mein nigahein aapko dhundti hain, ek nazar in aankhon mein basey tasveer par aane dijiye, shayad ye aapko jaani pehchani si lagey…inmein khwab purane hain, kuch dhundle hue jaate hain, beshaque taabeer na sahi, inko chain se mar jaane dijiye…

PAANI
Abhii to aankhon se lahu ka tapakna shuru hua hai, khaare pani ki tarah ye bhi rukk jayega ek din, aankhon mein khoon ki name liye zindagi ka khel dekhta hoon, iss surkh parde ke peeche se duniya badi rangeen nazar aati hai…

SAZA
Jo na chah sakoon wahi chahiye mujhe, jo na pa sakoon wahi pana hai mujhe, tanhai ke diwaron par sar phodta hoon main, taqdeer ke chattan par nakhoon khurachkar tera naam likhne ki nakam koshish karta hoon main, khoon ke katre unglion se bhi jharte hain aankhonn se bhi, zindagi khair maangti hai mujhse, tumhi keh do usse jeete rehne ki saza paayi hai maine…

LAKEEREIN
Galati sitare mein nahi in haathon ki lakeeron mein hai jisne aasman ke seene se usse churane ki koshish ki thi, ye aur baat hai ke haath sitare tak pahunchte he nahin gar wo aasman ka haath chhod mere taqdeer ke lakeeron se ulajh na jaati, ab na wo sitara hai na wo lakeerein, aasman ne usse wapis chheen liya, ab wo apne oonche makam par hai aur main apne jhulse lakeeron ke liye marham dhoondta hoon…

ADHOORA
Baarish mein dhuli, chaandni mein nahai hui, baadalon ke goud mein ek chhota sa aashian hai, kahin door pahadon mein chhote se gaon ke munder par basa wo aashian humare pairon ke nishaan dhundti hai, suna hai ek chhota sa aangan bhi hai wahan, maine chupke se ek roz ek khoobsurat sa khwab bo rakha tha wahan, wo narm mitti ab bhi mere pairon ko sehlati jaati hai, bahut yaad aati hai wo undekhi duniya jahan mera wo khwab dafan hai…

TAMASHA
Tamashayi ki tarah door khada zindagi ka khel dekha kiye, hansa kiye dumbhar roya bhi kiye khoob…dor taqdeer na bandhi aur hum kheencha kiye purzor, ghalat fehmi youn hui ken a dekha kiye uss or, munh firaye sar jhukaye bhagte rahe kisi chhor, tamasha aur hua, khel kuch aur bana par hum na mudey uss or…

Tuesday, April 21, 2009

Bura Sapna

Jiski ek jhalak paane ko ab bhi tarasta hoon main, usey shayad mera chehra bhi na yaad ho, fir bhi marta hoon har roz usey paane ko, jeeta hoon is ummeed mein ke jaane kab wo awaz fir gunj jaye, wo muskaan dobara zindagi roushan kar de...koi bura sapna jee raha hoon shayad, kya pata kab jag uthoon aur humesha ki tarah usey apne paas he paoon...

Wednesday, April 8, 2009

Daag

Aaine se aankhen to mila paate hoge, zameer ke rubaru bhi kabhi aate hoge, haath bhi kisi anjaane hichak se na kaanpte honge...par tere daman pe jo khoon ke katre hain wo mere khwabon ke kuchalne se aaye honge, kis tarah ai dil bata wo ye daag chhupate honge...

Wheels of Time

In the end, it was not about love or the lack of it...I wish it was...time travels faster than it ought to as if it's out to spite you, spite it does, crushing the memories under its wheels, precious memories that you never wanted to part with...in the end you're left with those broken mutilated memories that you spend your life piecing together...but they never look the same again...