Sunday, February 28, 2010

Diwano ka sheher

Ye diwano ko sheher hai
Yahan ba wafa bikhre khwabon ki khaak chhantey hain aur bewafa pyar bant tey hain
Samhal ke chalna yahan, kisi badnaseeb ke tutey dil ke tukde chubh sakte hain paon mein,
Zehreeley nishan chhod jaatey hain, jin par aansuon ke marham bhi kaam nahin aatey...

Thursday, February 11, 2010

Bazaar

Kal ho aaye fir usi bazaar se jahan khwabon ki boli lagti hai,
Is baar tamashaiyon ke bheed mein maine jagah li,
Kuch anjaan chehre, kuch sune sunaye bhi, apni apni jholi tatol rahey the,
Aankhon mein dard ki siyahi liye apney khwabon ka sauda kar rahey the,
Aadha pauna jo bhi mol mila unhey bik jaane diya,
Unke chehron par aansuon ki gehri lakiren un khwabon ka sahi mol batati thin,
Mere chehre ki lakiren ab jaati rahin, ek arsa hua mere khwabon ki boli lagey hue…

Friday, February 5, 2010

Bojh

Chand yaadon aur kuch tutey khwabon ka pulinda baandhey musafir chalta raha
Waqt beeta, mausam badley, raah mein kai padao aye
Chaltey chaltey ek roz jaane kab kaandhe par padi gathri ki gaanth dhili pad gayi
Kuch haseen lamhe kuch besh keemti yadein chupke se gir padi rah par
Musafir ko jab ehsas hua apne kismet ko roya
Mudh ke dekha to bahot door nikal aya tha
Mayus chal pada fir apni bemanzil rah par
Yaadon ki bojh ab halki thi aur dil bhari...