Friday, January 19, 2018

Kahaani

Uske Aankhon Ka Rang Gehra Tha, Kaale Badalon Jaisa

Kaala Nahi, Dhoosar. Wo Rang Jisme Raat Ki Siyahi Din Ke Sufiya Ujale Se Milti Ho

Uske Honth? Nazuk Se Thhe Shayad, Par Han Baarik Lakirein Hoti Thinn Unmein

Aur Bilkul Sada, Kehti Thi Taj Mahal Mein Rang Na Dalo

Shayad Kisi Ghazal Ke Mukhde Se Churaya Ho

Khil Khila Kar Hansti Thi, Ji Kholkar, Jaise Koi Pahadi Nadi Be Rok Tok Behti Hai

Gaati Bhi Thi. Subah Hotey He Taanpure Ki Meethi Jhankar Ki Oat Se Jhankti Thi Uski Rui Jaisi Narm Awaz

Soti Thi To Ache Burey Sapne Uske Chehre Pe Jhalakte Thhe, Kabhi Shikan, Kabhi Bhini Muskaan

Aur Han, Usko Kisse Kahaniyon Ka Badaa Shaukh Tha, Itna Ke Khud Bhi Kisse Bunti Thi

Uske Kisse Uski Baalon Ki Tarah Ghungrale Aur Uljhe Hote The, Na Samajh Aaye To Hans Padti Thi

Kehti Thi Main Bhi Ek Kissa Hoon, Padhte Raho Jab Neend Aa Jaye Toh So Jaana

Ek Roz  Padhte Padhte Youn Hin Aankh Lag Gayi, Uthkar Dekha Toh Aakhri Panna Tha, So Palat Diya