Wednesday, July 7, 2010

Aahat

Bechaini ka alam na poochiye

Fiza mein koi pehchani si khushboo hai

Hawaein jaise koi raaz chupa rahi hain

Kaaley badal kisi toofan ka ishara karte hain

Apni kokh mein jaise koi kahar lapete hain

Toota lamha koi fir se jod gaya hai

Maazi ke raah mein jaise koi roshni dikhai di hai

Saturday, May 29, 2010

Sawal

Us ajnabi sheher mein usi anjaan dariya ke kinare ab wo khadi thi

Kya dariya ne usey pehchana hoga, kya wo bhi muskurayi hogi paani mein apni tasveer dekhkar?

Kya dariya ne ussey bhi poocha hoga ke ye kiski yaadein hain jo muskan bankar meri lehron pe tair rahi hain?

Kya uski aankhon mein bhi saagar umad aya hoga?

Kya usney bhi mera naam liya hoga?

Friday, April 16, 2010

Ya ye kahun?

Ab kuch kehne ko na raha
Chand labz machalte hain zehen mein
Par koi ashaar nahi banta
Baasi yadein bhi ab kachot ti nahin
Aur khwabon ne to kabka dum tod diya
Muskurane ki koshish mein saansein ukhadti hain ab
Aur log ye samajhte hain ke ghayal he sahi abhi to zinda hai
Maut bhi bhala kyon kar aaye
Marey hue ko maarne mein kya maza hai?

Ye kahun?

Ab kuch kehne ko na raha
Chand labz machalte hain zehen mein
Par koi ashaar nahi banta
Baasi yadein bhi ab kachot ti nahin
Aur khwabon ne to kabka dum tod diya
Baaki hai to bas ek dhundli si tasveer
Jo aankhon mein ab bhi nami de jati hai
Beraham waqt ki lakiren khinch rahi hain us par bhi
Ab har roz is khauf mein jeeta hoon
Ke ye jeene ka samaan bhi na chinn jaye kahin

Sunday, February 28, 2010

Diwano ka sheher

Ye diwano ko sheher hai
Yahan ba wafa bikhre khwabon ki khaak chhantey hain aur bewafa pyar bant tey hain
Samhal ke chalna yahan, kisi badnaseeb ke tutey dil ke tukde chubh sakte hain paon mein,
Zehreeley nishan chhod jaatey hain, jin par aansuon ke marham bhi kaam nahin aatey...

Thursday, February 11, 2010

Bazaar

Kal ho aaye fir usi bazaar se jahan khwabon ki boli lagti hai,
Is baar tamashaiyon ke bheed mein maine jagah li,
Kuch anjaan chehre, kuch sune sunaye bhi, apni apni jholi tatol rahey the,
Aankhon mein dard ki siyahi liye apney khwabon ka sauda kar rahey the,
Aadha pauna jo bhi mol mila unhey bik jaane diya,
Unke chehron par aansuon ki gehri lakiren un khwabon ka sahi mol batati thin,
Mere chehre ki lakiren ab jaati rahin, ek arsa hua mere khwabon ki boli lagey hue…

Friday, February 5, 2010

Bojh

Chand yaadon aur kuch tutey khwabon ka pulinda baandhey musafir chalta raha
Waqt beeta, mausam badley, raah mein kai padao aye
Chaltey chaltey ek roz jaane kab kaandhe par padi gathri ki gaanth dhili pad gayi
Kuch haseen lamhe kuch besh keemti yadein chupke se gir padi rah par
Musafir ko jab ehsas hua apne kismet ko roya
Mudh ke dekha to bahot door nikal aya tha
Mayus chal pada fir apni bemanzil rah par
Yaadon ki bojh ab halki thi aur dil bhari...