Thursday, March 26, 2009

Ghair

Sadiaan beeti teri yaad na chhooti, duniya ne diwana karar diya hume, hum aaj bhi teri hasrat liye tanhai ke biyaban mein bhatakte hain, dhoonda karte hain teri parchai, jaise tera jana abhi kal he ki baat ho, tu ab ghair sahi, ghair ki sahi, humari hasrat bewajah sahi, humara pyar tere qaabil na sahi…jiye jaate hain fir bhi teri yaadon ke saaye mein…suna hai maut har marz ki dawa hai, kyon na ye ghoont tere haathon pi jaye…

Saturday, March 21, 2009

Modh

Jis modh pe hum bichde, suna hai wo modh ab bhi tumhare dar ki raah batate hain, tum laut gaye ya kisi aur raah ho liye, aur maine ussi do raahe ko apna aashian bana liya, kuch mussafir idhar se guzre, mujhe tanha dekh unhone awaaz bhi lagayi, par maine muskura kar unhe unsuna kar diya, fir adatan mudh gaya beete raah par tumhari parchai dhundne…

Safar

Wo nahi saath magar zindagi ke safar mein usse humsafar jana, chala hoon akela aaj us or jidhar suraj dhalta hai, hai ujala abhi to kya hai? Ho andhera bhi to kya ho? Ghum ki andheri diwaron par suraj ki roushni be asar hai…la do wo sitara jo zindagi roushan kar de warna apne ghumo ke saath mujhe tanha chhod do…

Hulchul

Samandar chup thi kayi dino se, lehren bhi thithak kar aati thi jaise saahil se takrane se dar rahi hon, ghataon ka ghirna bhi ab kum ho chala tha…fir hawaon ne koi raag chedi, dhadkan tez hui aur unglion ne ret par kuch lakiren kheenchi, un aadhi tirchi lakeeron mein chupi ek tasveer ne poocha kya hai tumhare dil mein? Maine kaha pyar, wo hans padi aur mera dil ro pada, jaise puri kainaat us par hans rahi ho…samandar ab fir se beqabu thi…

Saturday, March 14, 2009

Jeene ka saman

Mere sher mere jeene ka saman hain, log saans lete hain main sher kehta hoon, kabhi muridon ko, kabhi khud ko...inke sahare zindagi ki saza kaat raha hoon, ye jo bichade to saans toot jayegi, fir maut ke baad bhi chain na hoga...

Monday, March 9, 2009

Aas

Barf ki tarah jami yadein, parat dar parat khwabon ke zameen par milon bikhre pade hain; waqt ke pairon ke nishan door tak dikhte hain; har mausam yaadon ka mausam hai, har yaad nukili hai jo khwabon ko kured jaati hai, par khwab ab bhi zinda hain, yaadon ki chubhan se betarah ghayal, ummeed ki dor thame, maazi ki or nigahen tikai pade hain, un aankhon mein aas ki chamak ab bhi baki hai...

Friday, March 6, 2009

Maya

Hazar diye jalein to uski ek muskaan ki barabari ho, wo jo hansde to samandar ke saare moti fike pad jayein, uski palken uthein to sagar ki gehrai kum pad jaye, palken jhukein to samandar sehra ho jaaye, uske kesuon mein raat palti hai, shafak uske labon se narmi churate hain, aatish bhi unhi rukhsaron se apne sholon ki lapak
paate hain, apne aanchal mein lehren chupaye jab wo zameen par paon rakhti hai to aasman ko apne oonche hone ka ranj hota hai...Maya hai wo, uska aana gulon ko khilne ka dawat hai, uska jaana patjhad ko bulawa hai...abke aaye to phoolon ka dor banaoon, baandh rakhoon dil ke khoonte se usse...ke fir jaaye to jaan bhi saath le jaaye...