Sunday, October 26, 2008

Inse Milo

Milo in khwabon se, ye tumhe dekhkar jeete hain, aur main inhe...waise to tumhari baatein karte nahi thakte, jaane kabse meri raaton ki neend aur din ka chain uda rakhe hain, ek pal ko bhi tumhe aankhon se door nahi jaane dete...ab tum paas ho to dekho kaise chup chap aankhen zameen par gadaye khade hain, ye bhi nahi kah pa rahe ke inhe tumse kitna pyar hai...

Thursday, October 16, 2008

Thikana

Mausam ke ishare ko samajh he leta gar aankhen band na hotin...maut ke
nazraane ko bhi kubool kar leta gar haath bandhe na hote... Shukr hai
kal ki or badhte in kadmo mein ab yadon ki bediyan nahi rahi...warna
kal tak to ummeed ke darakht tale he apna thikana tha...

Wednesday, October 15, 2008

Naye Khwaab

Chalo koi aur khwaab dekhi jaye, ya fir kisi purane khwaab ko yadon ke sandook se nikalkar naye rangon mein bhigoyi jaye...jisme ek rang pyar ka ho aur ranje ki siyahi bhi fiki na ho...kehte hain kisi rangeen khwaab mein agar ranjish ki ek kaali boondh bhi milayi jaye to use kisi ki nazar nahi lagti...

Fir yaad

Subah subah ek mithi yaad ayi thi milne, use udaas dekhkar maine kaha kisi mithi yaad ko udaas hote pehle kabhi nahi dekha...usne kaha dekho mujhe, waqt ki dhool pad gayi hai mujhpe...aakhri baar kab yaad kiya tha mujhe? Mere paas uske sawal ka koi jawab nahi tha...