Saturday, August 29, 2009

Aankhen

Dhalte suraj ke haath se ujala mutthi mein qaid ret ki tarah fisal raha tha, channd katre roushni ke ab bhi baaki the jinhe raat apni kaali chadar mein samet rahi thi, maine kaha do pal aur jee lene do inhe shayad kisi bhatke hue musafir ko manzil dikh jaye, raat ne kaha wo manzil he kya jiski kurbat aankhon se mehsus karna padey, dil chahta hai jisey benoor aanke bhi usey dhoon leti hain, andhera to bas ek bahana hai unke liye jo dekhna nahi chahtey, warna dil ki aankhon ka roushni se kya sarokar?

Wednesday, August 26, 2009

Andhera

Wo sitara jo aasman ke doosre chor par apni muskaan bikher rahi hai kabhi meri zindagi ko roushan karti thi, ache din the wo aisa lagta tha kabhi raat na hogi, par kismat mere peeth peeche andhera bunn rahi thi, meri khushion ki shaam dhalne wali thi aur main issey anjaan uski roushni mein apni khushian gin raha tha, fir shaam dhal gayi, meri khushian usi andhere mein kho kar reh gayin. Mujhe malal apne khushion ke khone ka nahi, par ye ghum hai ke sitare ne bhi chupke se andhera odh liya, saath chhodne se pehle ek ishara to kiya hota...

Monday, August 24, 2009

Zinda

Fir bhi zinda hoon jaane kis umeed par, aisa lagta hai maut ka saya ummeedon tak nahin pahonchti, jaise yaadein nahi marti, jaise khwaab nahin marte, marta hoon to sirf main, har us roz, har us pal, jab tumhari yaadein saath nahin hoti, baaki lamhon mein bhi main bas saans leta hoon...

Thursday, August 13, 2009

Hisaab

Tamaam umra ke dard ka hisaab yadon ke ek panne par likh kar usne rukhsat le, khuda haafiz bhi kaha; khuda uska haafiz rahe, humne to khuda se bair le rakhi hai...