Friday, November 7, 2008

Purane khwab

Kuch khwab sach hue, kuch nahi hue, aur kuch purane ho gaye... rang feeka pad gaya tha unka... baat phool patton ki hoti to kuch naye rang bahar se maang leta...par in berang toote foote khwabon ke liye rang kahan se lata, kaun mol leta inhe, so beh jaane diya waqt ki dariya mein inhe... dekhta raha ek tak jab tak aankhen na bhar aayi...fir ye keh kar dil ko samjhaya ke purane khwabon ka marjana he acha hai...aur chal pada ek naye raah par kuch naye khwabon ki talash mein...

No comments:

Post a Comment