Wednesday, July 8, 2009

Chehra

Maazi ke jharokhe se aksar andhera aur uska chehra ek saath nazar aate hain, har shaam jab suraj apne ujaale par raat ki siyahi udelti hai to uska roushan chehra apni bheeni si muskaan liye aa dhamakti hai, main bhi khush ho leta hoon aankhon mein uski tasveer pakar; ye aur baat hai ke uski muskaan aaj bhi dil mein utar jaati hai kisi nashtar ki tarah, jeene ka ye tarika bhi seekh liya humne, kaun kehta hai jeete ji marne ki manahi hai...

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. yun hi googling krte krte aap ke blog tk pahuch gaye...aapke posts to taarif ki limits se aage hain...sachmuch Laajwaab especially "Sawal"

    ReplyDelete
  3. Bahot shukriya Gaurav...I'm glad you liked my posts. Here's another blog I write www.deysaid.wordpress.com plz have a look.

    Cheers!

    ReplyDelete