Monday, September 29, 2008

Dhoop

Subah ki narm dhoop uske balon se ulajh kar chehre par padti aur lakiren banati thi...uski band ankhon mein khwabon ke mele uske hothon par halki si muskan bankar thahar jati... din chadh aye to is dar se ki kahin dhoop uske ankhon ko chubh na jaye main apne hatheli ke saaye mein uske khwabon ko zinda rakhne ki koshish karta...ab khwab ka haqiqat hai uska tootna...par na jane kyon subah ki pehli dhoop ko mujhse shikayat hai...

No comments:

Post a Comment